gharelu upaye khire ke


usefull-khira-too-much-proteins-in-khira


khira me protien , carbohydeat , calsium , fosforas , loha , vitamin-b , c , paya jata hai..khira pitta ko khatam karta hai khira khun ki kami , heart deasies , aankho ki jalan , pet se sambandhit bimariyo me bahut acha rahta hai..

crispy-spicy-khira-salad

*kaise sevan kare - 
khane ke sath , khaskar garmi me khire ka sevan salad me karna chahiye khire ko gol gol katkar namak nimbu , kali mirchi , dalkar khane se poshan milta hai or khana asani se pachta hai..
fresh-and-too-easy-khira-salad-antioxcident

*khira antioxcident hai - 
khire ka rus pine se sharir me jama sari jahrile chije bahar nikal jati hai..jinka wajan aadhik hai unke liye khire ka rus subha pine se fayedemand hota hai jin logo ko kabaz rahta hai unke liye to khira vardan hai ise rayte me dahi me kiskar pudina , jeera , kali mirchi , kala namak , milakar khaya ja sakta hai..jinki aankho  ke niche kale ghere daag hai , unhe khira khana chahiye vaaa iska rus aankho ke niche lagana chahiye..
tasty-khira-bytes-in-salad

Aaharshi Rajput

No comments:

Post a Comment

Instagram