healthy top 10 beauty tips home remedies for wrinkles

            jhurriyo ko dur karne ke upaye

jhurriyo ke karan -

jurriya  inke karan sabse zayada hoti hai..ezinc , free redicals , dhup me rahne , tanaav , poshan ka kam hona , jenetics , dihaidrations , atmosphare , twacha ki dekhbhal nahi karna ..

jhurriyo ke lakshan - 

mathe par lakiro ka dikhna , ankho ke aas paas silwate nazar aana , honto ke paas mahin rekhaye dikhna..

dhayan de - 

suncream lagakar hi ghar ke bahar jaye aankho par chasma pahne , bharpur nind le , twacha ko hamesha moisturerize rakhe , tanaav se dur rahe..

*multani mitti - 

 

chehre par kasawat lane or mahin rekhayoo se chutkara pane ke liye multani mitti bahut fayedemand hai..

*uuad ki daal -

uuad ki daal ko ratbhar dudh me bhigokar subha paste banale isko chehre par lagaye..samya se pahle aani wali ezinc se bachav hoga , or nikhar bhi aayega..

*badaam ka teel -

badaam ka teel bhi jhurriya hatane me fayede mand hai ..roj raat me baddam ka teel se chehre ki masaaj kare isse aankho ke kale ghere bhi kam hojynge..

*banana -

pake huye kele ko achi tarah masalkar cream jaise consisstesi banaye aadha ghanta chehre par laga rahne de saade pani se chehra dhole..chehre ko apne aap sukhne de..

*nariyal teel -

nariyal teel garam karke chehre ki masaaj kare jhurriyo se nijaat pane ke liye behtrin upaye hai..

*malaayi or shahad -

malaai shahad or nimbu ko milakar chehre ki masaaj kare 10 mintue baad chehra dhole jhurriyo se nijaat milegi or chehre par chamak aayegi..

*oliv oil -

oliv oil bhi chehre ke liye bahut fayedemand hai iski malish bhi chehre ki chamak lati hai..

*milk powder -

doo bade chammach shahad char baar bade chammach milk powderor doo bade chammach garam pani..sabhi ko milakar chehre or gardan par lagaye..shahad se chehre ka glow aata hai or milk powder se chehre smoth or rinkals free hojata hai is paste ko aap hafte me ek se doo baar upyog kar sakte hai..

*ananaas -
ananaas me vitamin-c paya jata hai jo twacha ke liye bahut acha hai , khaskar jhurriyo wali twacha ke liye ananaas ke pulp ko 10 mintue chehre par lagaye or chehra dhole ananaas ka rus bhi istemaal kiya ja skta hai rus me circular motion me malish kare or kuch der baad chehra dhole jab tak chehra sukh nnn jaye use ragde nahi..

Aaharshi Rajput

No comments:

Post a Comment

Instagram