top 5 food poisening tips

                          food poisening

food poisening akasar logo ko kuch bhi ulta sidha khane se hojati hai isse bachne ke liye kuch aise upaye kare..

*banana -
keela khane bhi pet ke liye acha hota hai isme paye jane wale oxcidernt pet me livar ke liye ache mane jate hai food poisening hone par ek keela or ek apple ko achi tarah milakar khaye..din me char se panch bar iss mishran ko khane se food poisening se hone wali samasya dur hogi..

*tulsi ka pani - 
tulsi ke patte ka istemal kayi tarah ke rogo me kiya jata hai food poisening ke sankraman ko thik karne ke liye tulsi ki chai pina fayedemand hota hai..iske liye 10-15 tulsi ki pattiya todle inhe doo cup pani dalkar ubale jab pani achi tarah se ubal jaye too ise thanda hone par chanle is pani ka sevan din me 2 baar kare is tarah ye pani pet dard dur karega..

*methidana - 
agar food poisening me ulatiya bahut zayda ho rahi hoto methidana me ek chammach dahi milakar us mishran ka sevan kare isse ulatiya band hojati hai.. iske alawa aap mineral water me methidana dalkar bhi pi sakte hai

*jeera - 
jeera ek aisi chij hai jisse food poisening hone pe khaliya jaye too food poisening se turant rahat milti hai..jeera khane se sujan bhi kam hojati hai.. ise aise khaye jeere ko bhun lijiye or pani me milakar pi lijiye..

*brown sugar - 
brown sugar food poisening me aayi huyi kamzorio ko dur karta hai..food poisening ke doran agar aap kamzori mehsus kare too ek chammach brown sugar khale..ise apko takat bhi milegi brown sugar se mera matlab hai guud se bani shakkar ya bhuni huyi shakkar hai..kahi app galat na samjhe ki brown sugar means drugs..

Aaharshi Rajput

No comments:

Post a Comment

Instagram